na ghazi hai, na hai akbar shab e ghurbat hai zainab par
na ghazi hai, na hai akbar shab e ghurbat hai zainab par
najaf sy aaiye haider, shab e ghurbat hai zainab par
na ghazi hai, na hai akbar shab e ghurbat hai zainab par
kahin bay par parhy laashy, kahin qasim ky hain tukry
kahin abbas ky baazo, kahin jalty huye khaimay
ajab hain dasht ky manzar, shab e ghurbat hai zainab par
na ghazi hai, na hai akbar, shab e ghurbat hai zainab par
Rasool Allah ki soorat liye phir dasht mein aao
tasaali ky liye zainab ko seeny sy laga jao
kahan ho ay ali akbar shab e ghurbat hai zainab par
na ghazi hai, na hai akbar, shab e ghurbat hai zainab par
kabhi jaagy huye bachon ko khaimon mein sulati hai
kabhi woh bhai ky seeny sy teeron ko hataati hai
uthati hai kabhi pathar, shab e ghurbat hai zainab par
na ghazi hai, na hai akbar, shab e ghurbat hai zainab par
sar e abbas ko zaalim ny chaaha aur tarhpaye
rasan mein bandh ky zainab ko sar ky roo baroo laye
dikhaty har ko hain chadar, shab e ghurbat hai zainab par
na ghazi hai, na hai akbar, shab e ghurbat hai zainab par
utho ab chorh do laasha sakina apny baba ka
chalo khayaam ki jaanib barha beemar hai bhaia
meri bachi na yun zid kar, shab e ghurbat hai zainab par
na ghazi hai, na hai akbar, shab e ghurbat hai zainab par
fazal boly ijazat den mujy jany ki ay maadar
abhi ek pal mein aa jayen gy baba nehr sy uth kar
kahun ga bas yehi ja kar, shab e ghurbat hai zainab par
na ghazi hai, na hai akbar, shab e ghurbat hai zainab par
yahan har shaam hai sham e ghareeban jaisi weerani
imam aayen muhammad aur mity huye zulm ka baani
hai kehta sham ka manzar shab e ghurbat hai zainab par
na ghazi hai, na hai akbar, shab e ghurbat hai zainab par
0 comments:
Post a Comment