Category: Noha
Reciter: Farhan Ali Waris
Year: 2017
Kahan Ghareeb Ka Ghar Aur Kahan Hussain Ki Maa Complete Urdu Noha Lyrics Written In English
Fatima Zehra Fatima Zehra
Fatima Zahra Fatima Zahra
Ghum E Hussain Mein Ye Kaisa Sharaf Yeh Paaya Hai
Ky Apny Hathon Sy Mainy Alam Sajaya Hai
Suna Hai Aati Hain Fatima Zehra
Yeh Baat Soch Ky Farsh E Azaa Bichaya Hai
Karam Yeh Majlis E Shabbir Ny Kiya Warna
Kahan Ghareeb Ka Ghar Aur Kahan Hussain Ki Maan
Haye Jan Ali Akbar Noha Lyrics
Karam Yeh Majlis E Shabbir Ny Kiya Warna
Kahan Ghareeb Ka Ghar Aur Kahan Hussain Ki Maan
Khabar Hai Bint E Rasool E Khuda Ky Aanay Ki
Badal Rahi Hai Hawaeen Ghareeb Khanay Ki
Mera Naseeb Ky Mehman Huiin Meri Zahra
Kahan Ghareeb Ka Ghar Aur Kahan Hussain Ki Maan
Karam Yeh Majlis E Shabbir Ny Kiya Warna
Kahan Ghareeb Ka Ghar Aur Kahan Hussain Ki Maan
Farishty, Shah O Gadaa Gar Sabhi Hain Paish E Nazar
Hain Anbiya Ki Qataaren Lagiin Mery Ghar Par
Tumhary Aanay Sy Bibi Yeh Martaba Paya
Kahan Ghareeb Ka Ghar Aur Kahan Hussain Ki Maan
Chaly Ho Kis Py Shah e Deen ko Chorh Kar Abbas Noha Lyrics
Karam Yeh Majlis E Shabbir Ny Kiya Warna
Kahan Ghareeb Ka Ghar Aur Kahan Hussain Ki Maan
Yeh Majlis E Shabbir Mein Behtay Huye Aansoo
Firdous Ky Baaghon Mein Sajaa Deti Hai Zahra
Shehzadi Zameen Par Isy Girny Nahi Deti
Bach Jayen To Kosar Mein Mila Deti Hain Zahra
Yeh Noha Khuwani, Yeh Soz O Salam Aur Matam
Hamary Ashq Hain Bibi Ky Zakhm Ka Marham
Agar Na Hoty Waseela Yeh Maatam O Noha
Kahan Ghareeb Ka Ghar Aur Kahan Hussain Ki Maan
Karam Yeh Majlis E Shabbir Ny Kiya Warna
Kahan Ghareeb Ka Ghar Aur Kahan Hussain Ki Maan
Ghareeb Khany Ko Jannat Bana Diya Bibi
Khushi Yeh Aisi Hai Jis Ny Rula Diya Bibi
Har Aik Ashk Ny Aankon Sy Girty Girty Kaha
Kahan Ghareeb Ka Ghar Aur Kahan Hussain Ki Maan
Karam Yeh Majlis E Shabbir Ny Kiya Warna
Kahan Ghareeb Ka Ghar Aur Kahan Hussain Ki Maan
Sar E Hussain Jo Sheereen Ky Ghar Aya Tha
Sar E Hussain Ky Hamraah Aai Thiin Zahra
Jo Dekha Bibi Ko Shereen Ny, Yeh Kiya Noha
Kahan Ghareeb Ka Ghar Aur Kahan Hussain Ki Maan
Karam Yeh Majlis E Shabbir Ny Kiya Warna
Kahan Ghareeb Ka Ghar Aur Kahan Hussain Ki Maan
Jab Kisi Ghar Mein Koi Mar Jaye
Duniya Ghum Bantny Ko Aati Hai
Haye Kitni Ghareeb Hain Zahra
Pursa Lenay Bhi Chal K Aati Hain
Ya Hussain, Ya Hussain
Ya Hussain, Ya Hussain
Ghar Mein Mery Majlis Hui Aur Bich Gaya Farsh E Aza
Zakir Ny Jab Majlis Parhi Aur Haal Rukhsat Ka Jo Parha
Itna Roi Zahra, Itna Roi Zahra
Farhan Aur Mazhar Parha, Noha Shah E Mazloom Ka
Tha Zikr Jab Aashoor Ka, Shabbir Par Khanjar Chala
Itna Roi Zahra, Itna Roi Zahra
Dety Rahy Ahl E Azaa, Ghazi Ka Pursa, Sarwar Ka Pursa
Akbar Ka, Qasim Ka, Asghar Ka Pursa
Itna Roi Zahra, Itna Roi Zahra
Zainab Ka, Kulsoom O Fizza Ka Pursa
Sajjad, Bali Sakina Ka Pursa
Itna Roi Zahra, Itna Roi Zahra
Bali Ka Pursa, Chadar Ka Pursa
Aon O Muhammad Ka, Baqir Ka Pursa
Itna Roi Zahra, Itna Roi Zahra
Naizon Py Rakhy Har Ik Sir Ka Pursa
Bibi Tumhary Bhary Ghar Ka Pursa
Itna Roi Zahra, Itna Roi Zahra
Itna Roi Zahra, Itna Roi Zahra
Itna Roi Zahra, Itna Roi Zahra
0 comments:
Post a Comment