Khairilamal

Dekhiye Nana Ho Gaya Dushman Sara Zamana Lyrics | Zaidi Brothers | Muharrum Noha 1442 / 2020

Dekhiye Nana Ho Gaya Dushman Sara Zamana Noha Lyrics Zaidi Brothers



Dekhiye Nana Ho Gaya Dushman Sara Zamana

Dekhiye Nana Ho Gaya Dushman Sara Zamana



Yeh Ummat Hai Khoon Ki Pyasi

Aur Mujhy Wahda Hai Nibhana

Dekhiye Nana Ho Gaya Dushman Sara Zamana




Kho Gaye Ban Mein Saray Zamanay

Ab Kis Ko Shabbir Pukaray

Maary Gaye Sab Moonis O Yaawar

Ab Hai Mujhy Bhi Sar Ko Kataana

Dekhiye Nana Ho Gaya Dushman Sara Zamana




Waqt Yeh Kaisa Aya Hum Par

Maidan Mein Jitnay Hain Sitamgar

Thamay Huye Hain Teer Aur Naizay

Bas Hum Hain Un Sab Ka Nishana

Dekhiye Nana Ho Gaya Dushman Sara Zamana




Nehr Py Jab Abbas Gira Tha

Us Ki Sada Thi Aaiye Aaqa

Hath Katy Hain Uth Nahi Sakta

Mushkil Hai Abbas Ka Aana

Dekhiye Nana Ho Gaya Dushman Sara Zamana




Phatny Laga Hai Dil Ro Ro Kar

Maaray Gaye Pyasay Ali Asghar

Bhool Na Paya Mein Zaalim Ka

Nanhy Galy Par Teer Chalana

Dekhiye Nana Ho Gaya Dushman Sara Zamana




Saamny Tha Akbar Ka Lasha

Hum Py Zaeefi Ka Aalam Tha

Kaisy Kahun Tha Mushkil Kitna

Akbar Ki Maiyat Ko Uthana

Dekhiye Nana Ho Gaya Dushman Sara Zamana




Aon O Muhammad Maaray Gaye Hain

Aur Qasim Paamal Huye Hain

Haye Ghareebi Kehty Hain Kis Ko

Hai Shabbir Ny Ab Yeh Jana

Dekhiye Nana Ho Gaya Dushman Sara Zamana




Kehty Thy Zeeshan Yeh Sarwar

Halq Py Hai Ab Shimr Ka Khanjar

Sham E Ghareeban Aanay Ko Hai

Lut Jaye Ga Saara Gharaana

Dekhiye Nana Ho Gaya Dushman Sara Zamana




ya Rasool Allah Ay Mere Nana

ye Rasool Allah Ay Mere Nana

0 comments:

Post a Comment