Kya tumko hai qubool aliyyun waliyullah
Maine kiya iqrar aur dil shaad huwa tha
Honton se mere bas yahi aati thi ik sada
Aur aaj bhi zubaan ke saath dil hai bolta
Hai fakhr mujhko bus yahi main hu tera shia
Jo wahaan kaha tha, wo ab bhi kahunga
Mai hu, mai hu tera shia
Mujhe darr nahi lagta mai dil se hu kehta ye ishqay Ali me
taqqaya nahi hota.
Mai hu, mai hu tera shia
zehra ki Dua hai sarwar ki ata hai
Ye dil nahi Mera ye karbobala hai
Ye zikr se jaari har gham ki dawa hai
Matam gham e shabbir ye rab ki riza hai
haq per tu Amal Kar na fatway lagakar,
Abbas ka parcham hatoh me uthakar,
Dil se tu wafakar har mord pe aakar
Jagg jeetlay Sara duniya ko batakari
Ye sab ko batao khud se na chupao,
Zalim hai Jo qatil sar uska jhukao,
Quran ke Ghar ka dar jisne jalaya,
Tum karke tabarah usay qaak milao
Hindu o musalman har eik Qabeela
Shabbir ke gham me kehta hai khudara,
Matam Meri taqdeer matam Meri qismat
matam Meri tafseer turbat ka ujala
mujhper ye bharam hai zehra ka Karam hai,
Uncha ye rahega sarwar ka Alam hai,
Ye ashk e aza hai har aankh Jo num hai
Ye Rona hamara batil pe sitam hai....
pardtay hai namazein karbal ka hai sadqa,
Hoti hai azaa-n jab hota hai khulasa,
Ya Fatima zehra hum Nasir e moula,
Markar Jo shaheedoh ka kehta hai rudba
Ulfat hai Ali se seerat pe Amal Kar
Mushkil khushai se fatwoh ko tu Hal kar,
Ye qaulay nabi hai aur qaulay Ali hai
muhib Meray wo hai Jo rehtay hai milkar
Ae saniye haider labbaik ya Hussain,
Ae saqiy e kausar labbaik ya Hussain,
Likha mere Dil per labbaik ya Hussain
Hum hai Tere naukar labbaik ya Hussain
hum aashiqay Hyder hum aashiqay sarwar
katjaye zuban gar ho daar pe manzar
Meesam ki tarah ho ye ishqay samundar
Hokar Jo be-zubaan laata hai zubah per
zulmat ko mitana Ghar apna lutana
Aur sar ko katana Quran bachana,
Islam ki khatir ye jazba dikhana
Har dour me sheh ka goonjega tarana
har nasl kahegi har dour me aakar
Qismat hai Tejani hum hyderi naukar,
Khushbaqt hai Akbar jumla Tera sunkar
Kehta hai zamana shabbir ke dar per
0 comments:
Post a Comment