Khairilamal

Abid ko Jahan Ghash Ata Hai Mir Hasan Mir Noha Lyrics

Abid ko jahan ghash ata hai lyrics mir hasan mir nohaTitle: Abid ko Jahan Ghash Ata Hai
Category: Noha
Reciter: Mir Hasan Mir
Year: 2019

Abid ko Jahan Ghash Ata Hai Complete Noha Lyrics

Haye Sajjad Haye Haye Sajjad
haye Sajjad Haye Haye Sajjad

haye Sajjad Haye Haye Sajjad
haye Sajjad Haye Haye Sajjad

Abid Ko Jahan Ghash Ata Hai
Durron Sy Jagaya Jata Hai

Abid Ko Jahan Ghash Ata Hai
durron Sy Jagaya Jata Hai


Ghareeb Baba, Haye O Mera Ghareeb Baba Noha Lyrics
Ik Phool Hai Jis Ko Kaanton Par
Din Raat Chalaya Jata Hai
Abid Ko Jahan Ghash Ata Hai
Durron Sy

abbas Ki Ghairat Sy Aksar
abid Ki Aseeri Poochti Hai
kya 4 Baras Ki Behna Ko
zindaan Mein Sulaya Jata Hai
abid Ko Jahan Ghash Ata Hai
durron Sy Jagaya Jata Hai

sadaat K Khaimy Jaltay Hain
shoalon Mein Ghiri Hai Aal E Nabi
phir Aaj Nabi Ki Beti Par
darwaza Giraya Jata Hai
abid Ko Jahan Ghash Ata Hai
durron Sy Jagaya Jata Hai

Ay Akbar Yeh Sehra Sajany ky din thy Lyrics

reh Reh K Shah E Deen Dekhty Hain
naizay Sy Sakina Ki Jaanib
lagta Hai Ky Pusht E Naaqa Sy
bachi Ko Giraya Jata Hai
abid Ko Jahan Ghash Ata Hai
durron Sy Jagaya Jata Hai

bibi Ko Qareeb E Laash E Jari
durron Ki Aziyat Dety Hain
abbas Ko Tarhpany K Liye
zainab Ko Sataya Jata Hai
abid Ko Jahan Ghash Ata Hai
durron Sy Jagaya Jata Hai

ghairat K Sabab Jis Bibi Ny
ghar Mein Bhi Na Dekha Aaina
bay Parda Usay Laany K Liye
darbaar Sajaya Jata Hai
abid Ko Jahan Ghash Ata Hai
durron Sy Jagaya Jata Hai

bin Byaah K Akbar Maary Gaye
armaan Na Nikly Maanon K
taboot Py Akbar Ky Sehra
kuch Yun Bhi Charhaya Jata Hai
abid Ko Jahan Ghash Ata Hai
durron Sy Jagaya Jata Hai

woh Nok E Sinaan Par Ghairat Sy
rukta Hi Nahi, Gir Jata Hai
jab Jab Bhi Sar E Abbas E Jari
naizay Py Charhaya Jata Hai
abid Ko Jahan Ghash Ata Hai
durron Sy Jagaya Jata Hai

parday Mein Bhi Laal E Karb O Bala
roye Na Mera Maola Kiun Kar
afsos Kay Turbat Mein Ab Tak
zahra Ko Rulaya Jata Hai
abid Ko Jahan Ghash Ata Hai
durron Sy Jagaya Jata Hai

Abid Ko Jahan Ghash Ata Hai
durron Sy Jagaya Jata Hai

0 comments:

Post a Comment