haye be aasra hussain ko maqtal mein dekh k
ro kar yeh haye fatima zahra k bain thy
aa ja tujhe rida mein chupa lun mere hussain
aa ja tujhye rida mein chupa lun mere hussain
girty huye zameen py sambhalun mere hussain
aa ja tujhe rida mein chupa lun mere hussain
zakhmon sy choor choor hai tera badan tamam
chaaron taraf sy ghairay hain tujh ko sipaah e shaam
haye tujhy sambhalny wala koi nahi
baazo bhi tera thaamny wala koi nahi
girty huye zameen py sambhalun mere hussain
aa ja tujhy rida mein chupa lun mere hussain
meri taraf to dekh ly ay laadly meray
tanhai nahi hai aaj bhi maan sath hai teray
jo mere dil ka haal hai kaisy karun bayan
kis tarah tum ko chorh dun teeron ky darmyan
girty huye zameen py sambhalun mere hussain
aa ja tujhe rida mein chupa lun mere hussain
akbar ky gham mein jo teray seeny mein dard hai
shiddat sy is ki ab tera chehra bhi zard hai
tera yeh haal dekh ky kiun bayn na karun
maan hun hussain, chain sy kis tarah rahun
girty huye zameen py sambhalun mere hussain
aa ja tujhe rida mein chupa lun mere hussain
main bhi yeh jaanti hun tujhy bhi hai sab khabar
jab zeen sy mere laal tu aye ------------------
aaghosh mein liye tujhy roye gi ye zameen
paamal teri laash ko kar den gay yeh laeen
girty huye zameen py sambhalun mere hussain
aa ja tujhe rida mein chupa lun mere hussain
kuch dair bhi wo bhai sy nah door reh saki
dekho wo tum ko dekhny zainab bhi aa gai
haye yeh soch soch ky phat'ta hai dil mera
dekhy gi kaisy bhai ka kat'ta hua gala
girty huye zameen py sambhalun mere hussain
aa ja tujhy rida mein chupa lun mere hussain
zeeshan o zain haye woh manzar ajeeb tha
beta wo maan ky saamny jab zeen sy gira
manzar yeh dekh dekh ky rota tha aasman
ro ro ky apny laal sy kehti rahi wo maan
girty huye zameen py sambhalun mere hussain
aa ja tujhy rida mein chupa lun mere hussain
aa ja tujhy rida mein chupa lun mere hussain
aa ja tujhy rida mein chpa lun mere hussain
chupa lun mere hussain, chupa lun mere hussain
0 comments:
Post a Comment