Qaim Ky Dam Sy Aaj Bhi Qaim Hai Karbala
Karbala Karbala Karbala Karbala
Karbala Karbala Karbala Karbala
Qaim Hai, Qaim Hai,
Qayam Hai Karbala, Karbala Qaim Hai
Yeh Majlis O Matam Jari Hai, Yeh Farsh E Aza Qaim Hai
Qaim Hai Karbala, Karbala Qaim Hai
Jab Maah E Muharram Ata Hai, Sajty Hain Aza Khanay Ghar Ghar
Dety Hain Sakina Ko Pursa, Shabbir Ky Gham Mein Hum Ro Kar
Choda So Baras Beety Ab Tak, Is Gham Ki Faza Qaim Hai
Qaim Hai Karbala, Karbala Qaim Hai
Tha Samny Darya Pyasay K, Pani Na Piya Phr Bhi Us Ny
Wo Soch Raha Tha Main Pani Bachon Ko Pilaun Ga Pehly
Abbas Dilawar Ky Dam Sy Dunya Mein Wafa Qaim Hai
Qaim Hai Karbala, Karbala Qaim Hai
Ay Sheh K Azadaron Ao, Yeh Bat Zamanay Sy Keh Do
Kiun Karb O Bala Hum Na Jayen, Deta Hai Shifa Wo Dar Ham Ko
Ho Khaof Wabaon Ka Kiun Kar, Jab Khak E Shifa Qaim Hai
Qaim Hai Karbala, Karbala Qaim Hai
Chadar Bhi Muyassar Hai Tum Ko, Chehry Ka Salamat Hai Parda
Yeh Tum Py Meri Maaon Behnon, Ehsas Hai Bint E Zahra Ka
Bas Chadar E Zainab Ky Sadqay, Dunya Mein Haya Qaim Hai
Qaim Hai Karbala, Karbala Qaim Hai
Ghazi Ky Alam Ky Saye Mein, Aye To Pukara Dill Sab Ka
Chalti Na Hawaen To Zinda Rehna Tha Bahut Mushkil Sab Ka
Abbas Ka Parcham Lehranay Sy Hi Yeh Hawa Qaym Hai
Qaym Hai Karbala, Karbala Qaym Hai
Fatway Bhi Lagaye Logon Ny, Pehry Bhi Lagaye Logon Ny
Har Zulm Kiya Aur Raahon Mein Kantay Bhi Bichaye Logon Ny
Na Rok Saki Dunya Dekho Matam Ki Sada Qaim Hai
Qaim Hai Karbala, Karbala Qaim Hai
Zeeshan Yeh Sansen Hain Jab Tak, Bs Haye Hussaina Kehty Raho
Jis Dil Mein Nahi Shabbir Ka Gham, Woh Shadman Phir Kis Tarah Sy Ho
Aolad E Muhammad Ky Dam Sy Yeh Deen E Khuda Qaim Hai
Qaim Hai Karbala, Karbala Qaim Hai
0 comments:
Post a Comment