Ya Ali Ya Ali Ya Ali Ya Ali Ya Ali Ya Ali
Ali Asadullah Ali Asadullah Ali Asadullah
Ilzam Yeh Hai Ishq Mein Deewana Hun
Ilzam Yeh Hai Khud Sy Main Baygaana Hun
Ilzam Yeh Hai Molai Hun Mastana Hun
Iqrar Hai Mujh Ko Meri Fitrar Hai Malangana
Andaz Yagaana Meri Sohbat Bhi Faqeerana
Han Naaz Sy Kehta Hun Main Hun Haideri Parwana
Main Hun Sag E Shah E Najaf Teer Mera Ali Ali
Han Mera Mola Ali Han Mera Mola Ali
Ashadu Anna Ali An Wali Allah
Ashadu Anna Ali An Wali Allah
Mujh Sy Suno Kis Ny Hai Deewana Bnaya
Han Kis Ny Mery Qalb Py Hai Daira Jamaya
Aur Kis Ny Wila Ka Hai Mujhy Jaam Pilaya
Woh Noor E Khuda, Noor E Nabi, Noor E Do Chashmana
Mola E Bashar, Ilm Ka Dar, Fakhr E Bani Adam
Baad E Khuda, Baad E Nabi, Sab Sy Barha Ali Ali
Kya Zaat Mery Peer Ki Allah Ny Bnai
Aisi To Koi Zaat Zamanay Mein Na Aai
Han Jis Ki Paristar Hai Yeh Sari Khudai
Maidan E Ghadeeri Mein Nabi Jis K Liye Bola
Jis Jis Ka Bhi Mola Hun Main, Us Ka Hai Ali Mola
Aaj Bhi Yeh Dil E Momin Py Likha Ali Ali
Han Mera Mola Ali Han Mera Mola Ali
Ashadu Anna Ali An Wali Allah
Ashadu Anna Ali An Wali Allah
Yeh Mera Janoon Hosh Ki Deta Hai Gawahi
Aik Do Nahi 14 Ki Mery Dil Py Hai Shahi
Wallah Dar E Ilm Ki Karta Hai Ghulami
Salman Ny Batlaye Hain Kuch Raaz Faqeerana
Qambar Ny Sikhaye Mujhy Aadab E Malangana
Ishq Hai, Aqal Meri, Hosh Mera Ali Ali
Qalandaron Ky Mazaaron Ko Choomny Walo
Qalandaron Ki Sada Bhi Suno Kya Hai
Sada E Malang E Ali, Sada E Faqeer E Ali
Har Nara E Haider Mein Ali Bol Raha Hai
Dam Mast Qalandar Mein Ali Bol Raha Hai
Momin Hun, Mery Ghar Mein Ali Bol Raha Hai
Naazan Hun, Muqaddar Mein Ali Bol Raha Hai
Seeny Mein Hai Dil, Dil Mein Dharakta Hai Ali Mola
Walion Ka, Faqeeron Ka Wazeefa Hai Ali Mola
Afsos Tery Ghar Ko Zamanay Ny Sataya
Afsos Tery Samnay Zehra Ko Rulaya
Afsos Musallay Py Lahoo Tera Bhaya
Baiton Ko Kiya Qatal Sar E Karb O Bala Maola
Aur Betian Darbar Mein Paband E Jafa Maola
Haar Gaye Ahl E Jafa Jeet Gya Ali Ali
Mera Murshad, Mera Aaqa, Mera Sultan Ali
Mera Waris, Mera Maola, Mera Emaan Ali
Kitny Anmol Hain, Aala Hain Muqaddar Un K
Jin Ko Wallah Zamanay Mein Pehchan Ali
Mery Dil Mein To Sada Maola Mera Rehta Hai
Kaash Ik Roz Mery Ghar Mein Ho Mehmaan Ali
Ya Ali Kehti Hai Duniya Mujhy Nokar Tera
Ab Mujhy Dolat E Duniya Ki Tamanna Hi Nahi
Shahian Chorh Ky Aaty Hain Shehanshah Yahan
Aur Faqeer Ap Ka Dar Chorh Ky Jata Hi Nahi
0 comments:
Post a Comment