Khairilamal

Qadam Barhta Rahy Ao Karbala Ki Taraf Lyrics Shadman Raza

Title: Qadam Barhta Rahy Karbala ki Taraf
Category: Noha
Reciter: Shadman Raza

Qadam Barhta Rahy Lyrics Shadman Raza Noha:

qadam barhtra rahy lyrics shadman raza noha
Qadam Barhta Rahy, Qadam Barhta Rahy
Qadam Barhta Rahy, Aao Karbala ki Taraf

Labon py Ya HUssain ho, Labon py Ya Hussain ho
Labon py Ya Hussain ho  Aur Aankhen Askbaar




Qadam Barhta Rahy, Qadam Barhta Rahy
Qadam Barhta Rahy, Aao Karbala ki Taraf



Sath lay kay Karbala k shair ka alam
ba wafa sipahi ki tarah uthay qadam
yazidiat ko rond do    barhy chalo barhy chalo
karbala mn jis tarah   barhy thy sheh kay jaan nisar

Qadam Barhta Rahy, Qadam Barhta Rahy
Qadam Barhta Rahy, Aao Karbala ki Taraf


raah mein kharhay hain saf ba saf malayeka
un ko daikh daikh kar kahain gay marhaba
tum aza ka chain ho    zaayer e hussian ho
tum say milnay k liye hain anbia bhi bay qaraar

Qadam Barhta Rahy, Qadam Barhta Rahy
Qadam Barhta Rahy, Aao Karbala ki Taraf








shah e deen fatima kay noor e ain ka
jis jaga py lut gaya tha ghar hussian ka
jahan py sar qalam hua, lahu mein tar alam hua
roi nanhi qabr khod k jahan py zulfiqaar

Qadam Barhta Rahy, Qadam Barhta Rahy
Qadam Barhta Rahy, Aao Karbala ki Taraf



jis k betay ho gaye shaheed bay khata
run mein jis ki betion ki chhinn gai rida
jo dashy mein ujarh gai, hussian sy bicharh gai
O Ghareeb! Maan tmhara kar rahi hai intazar

Qadam Barhta Rahy, Qadam Barhta Rahy
Qadam Barhta Rahy, Aao Karbala ki Taraf



Bhai k mazaar par bahan k sath sath
ro rahi hai bain kar k sari kayenaat
zameen sy ta ba aasman, hai aik matami samaan
ho gi har taraf hussain ya hussain ki pukaar

Qadam Barhta Rahy, Qadam Barhta Rahy
Qadam Barhta Rahy, Aao Karbala ki Taraf



yad saray mominon ko dum badum rahy
karbala pahunch k har nigah khum rahy
har ik kaneez e fatima orh kar rakhy rida
ye rahy khayal tum hussain k ho sogwaar

Qadam Barhta Rahy, Qadam Barhta Rahy
Qadam Barhta Rahy, Aao Karbala ki Taraf



khoon mein tar namaz parh k shah ny kaha
hai yehi baqaaye deen razaaye kibriaa
ho bar zameen e karbala namaz waqt par ada
dy ga sajda e hussain hi duaayen bay shumaar

Qadam Barhta Rahy, Qadam Barhta Rahy
Qadam Barhta Rahy, Aao Karbala ki Taraf



har qadam ho maqsad e hussian ki taraf
barh rahay ho aakhirat k chain ki taraf
nazar mein gohar e aza, ho bss razaaye kibria
ho safar najaf sy karbala ka aaj yadgaar

Qadam Barhta Rahy, Qadam Barhta Rahy
Qadam Barhta Rahy, Aao Karbala ki Taraf

0 comments:

Post a Comment