Urdu Noha Hussain Ghareeb Shaheed Hussein Lyrics in English and Urdu recited by Taha Mehdi. Find out more noha lyrics by Taha Mehdi similar to lyrics of Hussain Ghareeb Shaheed Hussein on Khairilamal.
Hussain Ghareeb Shaheed Hussein Lyrics in English
Hussain Hussain Hussain Hussain
Ya Hussain Ya Ghareeb Ya Shaheed Ya Hussain
Hussain Ghareeb Shaheed Hussain
Hussain Ro Ky Ali Jang Ky Naaz Uthaty Thy
Rasool Seeny Py Apny Jinhen Sulaty Thy
Ky Jibraeel Jinhen Lorian Sunaty Thy
Libas Jin Ky Bahisht E Bareen Sy Aaty Thy
Qadam Qadam Py Sitamgar Inhen Sataty Hain
Hussain Thokaren Dasht E Bala Mein Khaty Hain
Hussain Ghareeb Shaheed Hussain
Hussain Woh Ky Hain Barchi Nikali Seeny Sy
Samaity Dasht Mein Qasim Ki Lash Ky Tukry
Lagaye Seeny Sy Bhai Ky Do Katy Shaney
Lahu Sagheer Ka Chehry Py Apny Malty Thy
Kalaija Yeh Hai Ky Dekha Kalaija Akbar Ka
Khaleel Dekhy Sabaat E Qadam Yeh Sarwar Ka
Hussain Ghareeb Shaheed Hussain
Hussain Pahunchy Jo Khaimey Mein Aik Aafat Thi
Thy Ghash Mein Abid E Muztar Ajeeb Halat Thi
Behan Thi Syed E Mazloom Thy Wasiyat Thi
Chaly Jo Rukhsat E Akhir Ko Ek Qayamat Thi
Sawar Barh Ky Kiya Tha Behan Ny Bhai Ko
Tarhap Ky Roye Haram Shah E Karbalai Ko
Hussain Ghareeb Shaheed Hussain
Hussain Zeen Py Ghorhy Ki Aa Ky Bethy Thy
Zuban Thi Sookhi Hui Zair E Chashm Halky Thy
Faras Sy Ran Ki Taraf Chalny Ko Woh Kehty Thy
Faras Ki Aankhon Sy Jari Lahu Ky Qatry Thy
Sakina Paon Sy Ghorhy Ky Aa Ky Lipti Thi
Na Jaiye Mery Baba Tarhap Ky Kehti Thi
Hussain Ghareeb Shaheed Hussain
Mily Sakina Sy Shah E Anaam Pal Do Pal
Barhy Phir Ashkon Ka Dariya Liye Sooye Maqtal
Tapish Thi Aisi Qayamat Ki Jalta Tha Jangal
Chali Jo Taigh E Shah E Deen To Mach Gai Hal Chal
Safon Ko Aada Ki Ek Tashna Lab Ny Ukharh Diya
Ali Ky Shair Ny Kuffar Ko Ukharh Diya
Hussain Ghareeb Shaheed Hussain
Sitam Shayaron Ny Sheh Sy Shikast Khai Hai
Saf E Adoo Mein Har Ek Maot Chai Hai
Ali Ky Laal Ki Woh Taigh Aazmai Hai
Ky Ghaib Sy Sada Shah E Deen Ki Aai Hai
Main Tujh Sy Razi Hun Razi Tu Mujh Sy Bhi Ho Ja
Hussain Rab Ki Taraf Apny Tu Palat Kar Aa
Hussain Ghareeb Shaheed Hussain
Parhi Jo Kanon Mein Sarwar Ky Ghaib Ki Yeh Pukaar
To Rakhi Shah E Umam Ny Nayaam Mein Talwaar
Woh Faoj Palti Woh Teeron Ki Ho Gai Bocharh
Woh Bosa Gah E Payambar Woh Khanjar E Khoon Khuwar
Gala Hussain Ka Shimr E Laeen Ny Kaata Hai
Zameen Sarhti Hai Khoon Asman Roya Hai
Hussain Ghareeb Shaheed Hussain
Laeen Lasha E Sarwar Py Zulm Dhaty Thy
Sar E Hussain Ko Naizey Py Woh Charhaty Thy
Yeh Intiha Hai Ky Pathar Bhi Maary Jaty Thy
Batool Roti Thi Aur Woh Khushi Manaty Thy
Ajeeb Soag Mein Tauqeer Kul Khudai Thi
Jaly Thy Khaimy Ghareebon Ki Shaam Ai Thi
Hussain Ghareeb Shaheed Hussain
0 comments:
Post a Comment