Khairilamal

Kyun Baba Karlin Hain Bnd Ankhein Noha Lyrics Tejani Brothers

Kyun Baba Karlin Hain Bnd Ankhein Noha Lyrics Tejani Brothers



Baba Dekho Ye Teri Jaan Hai
Mu Pe Tamachein Ka Nishaan Hain
Neze Ke Tale Beyth Ke Roti Hai Sakina
Kiun Baba Karlin Hain Bund Ankhein
Aik Baar Zara Dekhlo Baba Mera Chehra

Takleef Agar Hoti Thi Mujhko Kissi Pehlu
Ankhon Mein Meri Dekh Nahin Patay Thay Ansun
Behta Hai Meri Ankhon Say Ab Ashkon Ka Darya

Be Rehm Hai Kitni Ye Laeeno Ki Nigahen
Kartay Hain Sitam Bharti Hoon Jab Dard Sey Aahein
Hota Hai Kissi Qaid Mein Ronay Pe Bhi Pehra

Kya In Mein Koi Sahibe Aulad Nahin Hai
Kya In Ka Makan Bachon Se Abaad Nahin Hai
Bachpan Pe Bhi Aada Ne Taras Kuch Nahin Khaaya

Baba Mujhe Zalim Ke Tamacho Se Bachalo
Aaghosh Mein Ab Apni Sakina Ko Uthalo
Faryaad Karoon Kissay Koi Bhi Nahin Apna

Yeh Shimre Laen Ghurkiya Kab Tak Mujhay Dega
Yeh Zulm O Sitam Mera Jigar Kaisay Sahay Ga
Ghut Ghut Ke Museebat Se Main Marjaoon Kahin Na

Yaad Ata Hai Ammu Ka Meray Naaz Uthaana
Aur Aapka Woh Haathon Ke Jhulay Mein Jhulana
Qismat Ne Hummay Kon Sa Din Aaj Dikhaaya

Chalti Hoon To Dukhtay Hain Bohat Paaon Ke Chalay
Kantay Jo Chubhay Hain To Inhein Kon Nikalay
Jalti Hai Zameen Kaisay Chaloon Dekhlo Baba

Rassi Ki Jo Gardan Mein Chubhan Hoti Hai Baba
Main Saans Loon Kaisay Ke Ghuttan Hoti Hai Baba
Boloon Bhi To Kis Tarha Ke Bola Nahin Jaata

Tejani Falak Ne Kabhi Dekha Na Yeh Manzar
Neze Pe Ho Sar Baap Ka Aur Qaid Ho Dukhtar
Phatta Hai Nigar Apna Jigar Likh Ke Yeh Noha

Amman Ke Bhi Haathon Ko Hai Bandha Passay Gardan
Aur Aap Ka Sar Dekh Ke Barh Jaati Hai Uljhan
Is Haal Mein Maan Baap Kissay Ke Hon Kabhi Na

Sar Nezey Pe Asghar Ka Hai Aur Dhoop Karri Hai
Amman Ko Bhi Is Baat Ki Takleef Bari Hai
Woh Dekh Ke Hum Dono Ko Bus Karti Hain Girya

Baba Phupi Amman Ko Mera Paas Bohat Hai
Unko Bhi Meri Pyaas Ka Ehsaas Bohat Hai
Woh Kiya Karein Unka Bhi Koi Bass Nahin Chalta

Shimre Laeen Ke Dar Se Barhti Hai Dill Ki Dharkan
Seenay Ke Dard Se Hai Sanson Mein Meri Uljhan
Zakhmon Ko Apne Saare Dikhlaey Gi Sakina

Is Waqt Mere Upar Zalim Ki Sakhtiyan Hain
Hai Shimr Ke Tamachay Aur Meri Siskiyaan Hain
Ab Meray Saath Ghum Ki Saari Nishaniyan Hain
Ab Sirf Eik Yateema Kehlaeygi Sakina

Kaano Ka Lahu Saaf Karain Kaisay Phupi Jaa (n)
Majboor Hain Sab Bibyan Majboor Hain Amma (n)
Zakhmi Hain Lavein Khoon Baha Karta Hai Baba

Jee Bhar Ke Tujhay Haye Kabhi Ro Nahin Paai
Sona Bhi Jo Chaha To Kabhi So Nahin Paai
Akhein Kabhi Jhapki To Laeen Detay Hain Eeza

Agosh Se Amman Ki Churaya Gaya Mujhko
Naqey Pe Akeley Hi Bithaya Gaya Mujhko
Naqey Ki Ragar Se Mera Chalni Hua Ceena

Is Qaide Museebat Se Riha Kon Karay Ga
Baba Meray Zakhmo Ki Dawa Kon Karay Ga
Bhai Bhi Giraftare Silasil Hai Karay Kiya

0 comments:

Post a Comment