Category: Munqabat
Reciter: Ustad Shaheed Sibte Jafar Zaidi
Jab Imam Ayen Gy Lyrics Ustad Sibte Jafar Zaidi
Jab Imam Ayen Gy Lyrics Ustad Sibte Jafar Zaidi
|
jab Imam ayen gy
zakhm e dill dikhayen gy
jab Imam ayen gy
mehfilen jamayen gy
jab Imam ayen gy
baam o dar sajayen gy
jab Imam ayen gy
jashn hum manayen gy
jab Imam ayen gy
Janum Ya Hussain, Badshah Hamara Ya Hussain Noha Lyrics
zakhm hain abhi taza
makkah aur madinah k
shaam koofa karb o bala
hum bhula nahi saktay
az saqeefa taeen dum
ghair sy nahi pahunchy
jitnay dukh uthaye hain
hum ny kalma goyon sy
aik Ik chukayen gy
aik ik chukayen gy
jab Imam ayen gy
Kya Aap Hi Zainab Hain Noha Lyrics
shak hai jin ko Allah k
Adal aur adaalat par
mansab e nabuwwat par
Sayeda ki Ismat par
murtaza ki ahmad sy
muttasil niyabat par
jin ko shak hai 12 par
12wen ki ghaibat par
sab hi maar khayen gy
sab hi maar khayen gy
jab Imam ayen gay
Karbala Chalo Lyrics Mir Hasan Mir Noha 2019
naam par sahaba k
kaam kafiron jaisy
naam par sahaba k
kaam faasiqon jaisy
naam par sahaba k
kaam munkiron jaisy
naam par sahaba k
kaam mushrikon sy
sab hi munh churayen gy
sab hi munh churayen gy
jab Imam ayen gay
daawa e muhabbat jo
subh o shaam karty hain
un k dushmanon sy bhi
raah o rasm rakhty hain
khums bhi nahi detay
gheebaten bhi karty hain
mominon sy bhi dil mein
bughz o keena rakhty hain
kis tarah nibhayen gy
kis tarah nibhayen gy
jab Imam ayen gy
jhoot bolny ko hum
mashghala samajhty hain
baat baat par bay jaa
maslehat barat'tay hain
aur munafiqat ko bhi
maslehat hi kehty hain
lahw o laab ka samaan
hum gharon mein rakhty hain
kis tarah chupayen gy
kis tarah chupayen gy
jab Imam ayen gy
nemat e shariyat ko
bojh hi samajhty hain
lahw o laab hi ko hum
zindagi samajhty hain
sahibaan e zar ko barha
aadmi samajhty hain
tang dast momin ko
bas yun hi samajhty hain
kya maqam payen gy
kya maqam payen gy
jab Imam ayen gy
yeh hamary makr o riya
shaatirana ayaari
kya hamary saom o salaat?
aur yeh azadari?
kitna hai khuloos in mein?
kis qadar rya kaari
kya Imam ki khatir
hum ny ki hai tyari
kaisy munh dikhayen gy
kaisy munh dikhayen gy
jab Imam ayen gy
al ajal jo kehty hain
aa gye to kya ho ga
kya hai apni tayaari
paish hum karen gy kya
sibt e jafar apna to
ik yehi hai sarmaya
hamd o naat o soz o salam
aur manqabat noha
hum yehi sunayen gy
hum yehi sunayen gy
jab Imam ayen gy
jab Imam ayen gy
jab Imam ayen gy
Mashallah nice manqabat thanks for it
ReplyDeleteJazakallah
ReplyDelete