Khairilamal

Abbas e Alamdar Lyrics Tejani Brothers

Title: Abbas (A.S)
Category: Noha
Reciter: Tejani Brothers
Year: 2013
Album: Our Blood Will Write

Abbas (a.s) Lyrics Tejani Brothers


abbas noha lyrics tejani bros
Haider ne namaazon mein jo Allah se manga
Kehte thy Khuda dey mujhey Abbas sa beta
Wo jisko kahey sara Arab Ghazi o Jarrar
Abbas-e-Alamdaar, Abbas-e-Alamdaar

Tum bazu e Shabbir ho Haider k pisar ho
Lashkar ke alamdar Sakina ka jigar ho
Jitey hain tumhen dekh ke bas sayed e abraar
Abbas-e-Alamdaar, Abbas-e-Alamdaar

Paani pe alam tere siwaa kisne lagaya
Mashkize me darya ko tumhi ne hai uthaya
Tum lashkar-e-Shabbir ke ho Haider-e-Karrar
Abbas-e-Alamdaar, Abbas-e-Alamdaar

Jab Imam Ayen Gy Lyrics Ustad Sibte Jafar Zaidi

Tum Fatima Zehra ki duwaon ka asar ho
Tum dhoop mein Zainab ke liye misl e shajar ho
Parchum ka pharayra hai tera aisa hawaadar
Abbas-e-Alamdaar, Abbas-e-Alamdaar
Ya Abbas

Zainab ne dam karke naade ali,
Apni rida bhayi par daal di,
Apni rida bhayi par daal di
Dey kar duaa ghar se rukhsat kiya
Abbas ibn-e-sher-e-khuda

Hum Ahl e Aza Karb o Bala Yaad Karen Gy Lyrics Ali Safdar

Abbas ibn-e-sher-e-khuda
Abbas ibn-e-sher-e-khuda

Ghazi ne saahil pe rakha qadam,
Khaa kar sakina ke sar ki qasam,
Bhar lunga is mashk me alqama
Abbas ibn-e-sher-e-khuda

Abbas ibn-e-sher-e-khuda
Abbas ibn-e-sher-e-khuda

Lekin achanak ye kya hogaya,
Ghazi ka parcham larazne lagaa,
Bedast hokar giraa bawafaa
Abbas ibn-e-sher-e-khuda

Mein Qadam Aagy Barhaun Lyrics Tejani Brothers

Abbas ibn-e-sher-e-khuda
Abbas ibn-e-sher-e-khuda

Ghazi jo zeen se zameen par gira
Rokar Sakina se usne kaha
Sharminda Bali tera hai chacha
Abbas ibn-e-sher-e-khuda

Abbas ibn-e-sher-e-khuda
Abbas ibn-e-sher-e-khuda

"Rehan" manzar wo kaise likhun
Mere qalam se tapak ta hai khun
Kehte the shabbir bhayi mera
Abbas Ibne Shere Khuda

Hamara Hussain Tumhara Hussain Noha Lyrics Tejani Brothers

Abbas ibn-e-sher-e-khuda
Abbas ibn-e-sher-e-khuda

0 comments:

Post a Comment