Title: Akbar ny kaha Zakhm
Category: Noha
Reciter: Shadman Raza
Akbar nay kaha Zakham kalaijay ka chupa do
Ammaan meri jeeti ho to ik baar mila do
amman ny ye farmaaya tha ghar laot kay ana
is Chaand si soorat ko main phir sy dikhana
na khak basar un ka pisar ho gya baba
chehra to mera khoon mein tar ho gya baba
Akbar nay kaha Zakhm kalejy ka chupa do
Ammaan meri jeeti ho to ik bar mila do
Akbar Ny Kaha Zakham Kalaijy Ka Chupa Do Noha Lyrics Shadman Raza
behtar hai chupa den meray seenay k nishan ko
haalan k khabar mil gai ho gi meri maan ko
kehna k hai bay haal yeh beemar tumhara
karnay ko chala laya hai deedar tumhara
Akbar ny kaha Zakhamm kalaijy ka chupaa do
Amman meri jeeti ho to ik bar mila do
amman ny barhay naazon sy sadqa bhi utaara
doolha ki tarah sy humen naazon sy sambhala
akbar ny koi tum py musibat khuda laye
ay Laal! tumhen run sy salamat khuda laye
Akbar nay kaha Zakhm kalaijay ka chupaa do
Amman meri jeeti ho to ik baar mila do
Category: Noha
Reciter: Shadman Raza
Complete Lyrics Akbar ny Kaha Zakhm Shadman Raza

baba ye mera khoon to kapron sy hataa do
acha to mujhy doosri poshaak pehna do
ghaltaan mujhy dekhain gi agr khoon k wazuu mein
keh dain gi meray doodh ki khushboo hai lahoo mein
Akbar nay kaha Zakham kalaijay ka chupa do
Amman meri jeeti ho to ik bar mila do
dum hathon mein dy jata hai jub goad ka pala
phir zinda nahi rehti hai woh maan shah e baala
yeh baar garaan hai meray maola nahi uthta
maon sy jawaan betay ka sadma nahi uthta
Akbar ny kaha Zakham kalaijay ka chupaa do
Amman meri jeeti ho to ik bar mila do
ghar janay ki halat to nahi aisi hamari
woh zakhm lga kaari k dum lena hai bhaari
sar ooncha kiya aap ka batlaaun ga baba
amman k qadam choomny ghar jaoon ga baba
Akbar ny kaha Zakhmm kalaijay ka chupaa do
Amman meri jeeti ho to ik bar mila do
kehna k pisar aap ny shabbir py waara
maqbool kry aap ki qurbani ko Zahra
amman ho mubarik yeh barha kam hua hai
Zahra ki kaneezon mein tera naam hua hai
Akbar ny kaha Zakhm kalaijay ka chupaa do
Amman meri jeeti ho to ik bar mila do
Laila k jawaan Laal ka Ay Shadmaan Naoha
Taeed e Hussaini sy Raza ap ny likha
Allah har majlis mein barha josh fughaan hai
Matlab k yahan aur bhi ik marsia khuwaan hai
Akbar ny kaha Zakhmm kalaijay ka chupa do
Amman meri jeeti ho to ik bar mila do
0 comments:
Post a Comment