Khairilamal

Bhai Shabbir Fi Amanillah Lyrics Nadeem Sarwar Noha 2005

 Urdu Noha Bhai Shabbir Fi Amanillah Lyrics in Urdu and English recited by Nadeem Sarwar in 2005. Find out more noha lyrics by Nadeem Sarwar 2005 similar to lyrics of Bhai Shabbir Fi Amanillah on Khairilamal.


Bhai Shabbir Fi Amanillah Lyrics in English

Jab Ai Giarah (11) Muharram Mayan E Karb O Bala

Behan Ny Bhai Ky Phailay Huye Lahu Sy Kaha

Ay Shah E Bay Kasan Khuda Hafiz

Ay Mery Bhai Jaan Khuda Hafiz


Lo Chala Karwan Khuda Hafiz


Bhai Shabbir Fi Amanillah

Chali Hamsheer Fi Amanillah


Zameen Py Bikhry Huye Noor Is Behan Ka Salam

Badan Dareeda O Majboor Is Behan Ka Salam

Chali Hai Tum Sy Bahot Door Is Behan Ka Salam

Misal E Fatima Har Dukh Mein Muskuraun Gi

Hussain Zinda Hai Duniya Ko Main Bataun Gi


Bhai Shabbir Fi Amanillah

Chali Hamsheer Fi Amanillah


Salam Umme Abeeha Ky Goud Ky Paalay

Salam Karty Hain Zehra Ky Hath Ky Chaalay

Salam Zulf E Muhammad Sy Khailnay Waly

Parhen Gy Durry To Main Sabr Aazmaun Gi

Hussain Zinda Hai Duniya Ko Main Bataun Gi


Bhai Shabbir Fi Amanillah

Chali Hamsheer Fi Amanillah


Yeh Gham Nahi Hai Ky Main Sogwar Qaidi Hun

Abu Turab Ki Aur Fatima Ki Beti Hun

Main Is Kalaijy Mein Quwat Ali Ki Rakhti Hun

Yazeed E Waqt Ky Khaibar Ko Main Giraun Gi

Hussain Zinda Hai Duniya Ko Main Bataun Gi


Bhai Shabbir Fi Amanillah

Chali Hamsheer Fi Amanillah


Rahy Wafa Ky Bahattar Musafiron Ki Qasam

Lab E Furat Sulagty Huye Gharon Ki Qasam

Sinaan Ki Nok Py Rakhy Huye Saron Ki Qasam

Jalal E Hazrat E Abbas Ban Ky Chaaun Gi

Hussain Zinda Hai Duniya Ko Main Bataun Gi


Bhai Shabbir Fi Amanillah

Chali Hamsheer Fi Amanillah


Khushi Sy Ahl E Sitam Bandh Len Mery Bazo

Banen Gy Nooh Ka Toofan Ab Mery Aansoo

Na Chup Saky Gi Yeh Khoon E Hussain Ki Khushboo

Main Sar Khuly Huye Darbar E Sham Jaun Gi

Hussain Zinda Hai Duniya Ko Main Bataun Gi


Bhai Shabbir Fi Amanillah

Chali Hamsheer Fi Amanillah


Nigah Janib E Dariya Uthi To Itna Kaha

Mery Dalair Alamdar Fatah E Dariya

Tujhy Khabar Hai Mery Sar Sy Chin Gai Hai Rida

Tery Alam Ka Pharera Rida Banaun Gi

Hussain Zinda Hai Duniya Ko Main Bataun Gi


Bhai Shabbir Fi Amanillah

Chali Hamsheer Fi Amanillah


Jo Pahunchi Sham To Bazar Ko Saja Dekha

Kabhi Najaf To Kabhi Sooye Karbala Dekha

Pukari Baba Mera Tum Ny Hosla Dekha

Jahan Bhi Jaun Gi Farsh E Aza Bichaun Gi

Hussain Zinda Hai Duniya Ko Main Bataun Gi


Bhai Shabbir Fi Amanillah

Chali Hamsheer Fi Amanillah


Salam Umme Abeeha Ky Goud Ky Paaly

Salam Karty Hain Zehra Ky Hath Ky Chaalay

Salam Zulf E Muhammad Sy Khailnay Walay

Parhy Gy Durry To Main Sabr Aazmaun Gi

Hussain Zinda Hai Duniya Ko Main Bataun Gi


Bhai Shabbir Fi Amanillah

Chali Hamsheer Fi Amanillah


Suna Hai Sarwar O Rehan Khuahar E Shabbir

Ali Ky Lehjy Mein Karti Thi Jis Gharhi Taqreer

Yazeed E Shimr Ky Seeny Py Chalti Thi Shamsheer

Woh Jab Yeh Kehti Thi Waady Ko Main Nibhaun Gi

Hussain Zinda Hai Duniya Ko Main Bataun Gi


Bhai Shabbir Fi Amanillah

Chali Hamsheer Fi Amanillah


Lo Chal Karwan Khuda Hafiz


0 comments:

Post a Comment