Khairilamal

Ya Khuda Ya Khuda Lyrics Farhan Ali Waris

// 1 comment:
Title: Ya Khuda Ya Khuda
Category: Noha
Reciter: Farhan Ali Waris
Year: 2017

Complete Lyrics of Noha Ya Khuda Ya Khuda Farhan Ali Waris

ya khuda ya khuda lyrics farhan ali waris noha
Ya Khuda Ya Khuda Ya Khuda
Ya Khuda Ya Khuda Ya Khuda
Ho Behan Sy Na Bhai Juda
Jaisy Zainab Hui Ho Na Aisy Koi
Karun Maola Main Tujh Sy Dua
Ho Behan Sy Na Bhai Juda

Behan K Sir Py Saya Ho Bhai Ka Garr
Us Ko Rehta Nahin Hai Zamanay Ka Darr
Hota Rishta Behan Bhai Ka Khaas Hai
Aisa Rishta Na Aaye Kahin Bhi Nazar
Ay Meray Kibriya! Behan Par Bhai Ka
Rahy Qaaim Ye Saya Sadaa
Ho Behan Sy Na Bhai Juda

Abid ko Jahan Ghash Ata Hai Mir Hasan Mir Noha Lyrics

Sheh Ki Gardann Py Khanjar Jo Chalny Laga
Dekhti Thi Kharhi Ik Behn Ghumzada
Dil Py Apnay Wo Har Zarb Sehti Rahi
Haye Sattar Qadam Ka Tha Bus Faasla
Dekh Kar Ye Jafa Ro Parhi Thi Qazaa
Aur Karti Thi Ye Iltija
Ho Behan Sy Na Bhai Juda


Khuzka Ilaiya by Hussain Al Akraf

Aai Bhai K Lashy Py Jb Ghum Zada
Haye Ro Na Saki, Kar Saki Na Bukaa
Pas E Grdan Bndhy Hath Bibi K Thy
Taziyanon Sy Tha Jub Uthaya Gya
Roi Taqdeer Ki Dekh Kar Bay Basi
Keh Rahi Thi Ye Ik Bay Rida
Ho Behan Sy Na Bhai Juda

Koi Mastoor Majboor Aisy Na Ho
Dard O Ghum Sy Koi Choor Aisy Na Ho
Bay Kafan Bhai Betay Chali Chorh Kar
Koi Apnon Sy Hi Door Aisy Na Ho
Qaid Ho Kar Chali Haye Bint E Ali
Keh Rahi Thi Ye Karb O Bala
Ho Behan Sy Na Bhai Juda

Forgive me Lyrics Tejani Brothers Noha 2015

Jub Sunai Ye Farhan Nay Daastan
Hua Matam Kunaan Hai Ye Saara Jahan
Har Azadar Ki Ho Gai Aankh Numm
Gham Mein Doobay Huye Hain Ye Kaon O Makaan
Sun K Dard Alam Ro Para Hai Qalam
Jub Ye Khursheed Ny Hai Likha
Ho Behan Sy Na Bhai Juda

Ana Karbalai Ana Murtazai Lyrics Ali Safdar

// No comments:
Title: Ana Karbalai
Category: Noha
Reciter: Ali Safdar
Year: 2017

Ana Karbalai Lyrics Ali Safdar Noha

ana karbalai noha lyrics ali safdar
Najaf say hain niklay Hussaini Jialay
Ziarat ki khawahish, Alam hain Sambhaly
Ye boorhay jawan auraten goad walay
Ye hain phool jannat ky pairon k chaalay
Ye Mehdi k nasir hussaini fidaai
Hussaini fidai hussaini fidai


ana karbalai ana murtazai
ana karbalai ana murtazai
ana karbalai ana murtazai



najaf sy safar karbala ka karain gay
na daayesh ka dar hai hum aagay barhen gay
karain qatl jitna bhi utna jiyen gay
bus ab karbala mein qadam yeh ruken gay
lehad karbala mein ho ye murtazai

ana karbalai ana murtazai
ana karbalai ana murtazai
ana karbalai ana murtazai

Utho Sakina Chalen Karbala Noha Lyrics Mir Hasan Mir

azaa walay quran k tarjumaan hain
alam k pharairay sy hum jaawidaan hain
jawaan saray akbar k dil sy jawaan hain
ye bachay bhi bay sheer k hum zuban hain
hussaini likhai, hussaini fidai

ana karbalai ana murtazai
ana karbalai ana murtazai
ana karbalai ana murtazai

lutaya hai sheh ny bhara ghar Khudaya
phira hai bhateeja biradar khudaya
yeh noor e nazar mera akbar khudaya
yeh hai chay mahinay ka asghar khudaya
k jaan dy k islam ki jaan bachai

ana karbalai ana murtazai
ana karbalai ana murtazai
ana karbalai ana murtazai

Imam Khomeini Complete Documentary in Urdu

yeh ilm o amal nusraten hon gi paiham
na ho gi azadari har giz kabhi kumm
ibadat namazen ye majlis ye matam
imam e zamana k nasir banain hum
bahut sy muhaazon py ho gi larhai

ana karbalai ana murtazai
ana karbalai ana murtazai
ana karbalai ana murtazai

chala hurr har ik zulm o zulmat sy larh k
wo sufianiat sy, woh daolat sy larh k
who jeeta yazeedon ki taaqat sy larh k
gya pas shehh k hakoomat sy larh k kaha hurr ny maola ny qismat jagaai

ana karbalai ana murtazai
ana karbalai ana murtazai
ana karbalai ana murtazai

Legacy, This is your legacy Lyrics Tejani Brothers Noha

zameen par ye gosh e nabi ka makeen hai
ye ik lash bay sir hai tapti zameen hai
karay koi imdaad koi nahi hai
jahan sheh ka lasha hai maan bhi wahiin hai
har ik lash maqtal sy shehh nay uthaai

ana karbalai ana murtazai
ana karbalai ana murtazai
ana karbalai ana murtazai

ye sham aur koofay mein dil ro raha hai
hain lashay zameen par yeh karb o bala hai
ye ghairat sy sajjad ka sir jhuka hai
behan hai khulay sir, phophi bay rida hai
na taoq e giraan ny hai garden jhukai

ana karbalai ana murtazai
ana karbalai ana murtazai
ana karbalai ana murtazai

Waris e Ilm e Nabi Ya Hussain Ibn e Ali Noha Lyrics

hain sairaab karty qamar pyaas walay
hussaini mujahid who hammas walay
Iraq o yaman mein hain yeh aas walay
hain zainab k rozay py abbas walay
Ali walay kehtay hain mushkil kushai

ana karbalai ana murtazai
ana karbalai ana murtazai
ana karbalai ana murtazai

Aaqa Hussain Mola Hussain Lyrics Shadman Raza

// No comments:
Title: Aaqa Hussain Maola Hussain
Category: Noha
Reciter: Shadman Raza
Year: 2017

Lyrics of Aaqa Hussain Mola Hussain Shadman Raza

aaqa hussain maola hussain lyrics ali safdar
Hai hamari darsgah karbala karbala
haq ka seedha raasta karbala karbala

hai hamari darsgah haq ka seedha rasta
karbala karbala karbala

labaik ya hussain
labaik ya hussain
labaik ya hussain

qadam barhta rahy aao karbala ki taraf
qadam barhta rahy aao karbala ki taraf

Shia ko Tanha Karny ki Sazish

Aarzoo e anbiaa ziaarat e hussain hai
nusrat e Imam hai ye Nusrat e Hussain hai
Azm zaaireen ka yeh taaqat e hussain hai
dil sy aa rahi hai ye sadaa, aik hi laga hai karbala
har qadam py barh raha hai dil ka hosla


aaqa hussain maola hussain aa raha hun main bhi karbala
aaqa hussain maola hussain aa raha hun main bhi karbala

Rok hi nahi saka hai koi khaar phool ko
zaayeron ka ilm kya ho daaeshii jahool ko
kaat den gy zaaireen kufr k bawoon ko
sabr ka liye hain asliha, hath mein hai parcham e wafa
dekhty hain rokta hai kon raasta

aaqa hussain maola hussain aa raha hun main bhi karbala
aaqa hussain maola hussain aa raha hun main bhi karbala

Ya Abbas Lyrics Tejani Brothers Noha

rahnuma ka rahnuma hai, zaayr e hussain hai
Fatima ki yeh dua hai Zaayer e hussain hai
Is ka martaba barha hai zaair e hussain hai
khidmaton mein mehw dum ba dum, zaairon k kam ayen hum
maadr e hussain sy mily ga hosla

aaqa hussain maola hussain aa raha hun main bhi karbala
aaqa hussain maola hussain aa raha hun main bhi karbala

Aarzo e murtaza hai yeh dua e fatima
fakhr sy zameen is ko dy rahi hai raasta
mehr o maah hain safar mein chal raha hai kaafla
bhai hai, behn hai aur maan, bachy, boorhy, sath hain jawaan
lashkar e hussain mein hai aaj faisla

aaqa hussain maola hussain aa raha hun main bhi karbala
aaqa hussain maola hussain aa raha hun main bhi karbala

haideri jo walwala hai ishq e arz e toos hai
azm hai shahaadaton ka maot to aroos hai
karwaan jo chal raha hai matami juloos hai
matam e hussain ka asar, buzdilon k phat gaye jigar
dar k har yazeed apny ghar mein chup gya

Raah e Shaam Lyrics Tejani Brothers

aaqa hussain maola hussain aa raha hun main bhi karbala
aaqa hussain maola hussain aa raha hun main bhi karbala

haq hai ye hussain ka najaf sy karbala chalo
poora khandan ly k misl e shaaha tum barho
choomtay hain rastay har aik zakhm zakhm ko
Abid e hazeen hai raah par, Zainab e hazeen hai hum safar
paon mein parhy hain aablay to kya hua

aaqa hussain maola hussain aa raha hun main bhi karbala
aaqa hussain maola hussain aa raha hun main bhi karbala

roz o shab tarhap raha hun zindagi ki kya khabar
manta hun maola! hun gunahgar kis qadar
aik bar pahunchun bus main roze e hussain par
bhai aur bhateejay ki talaash, chay (6) mahinay k pisar ki laash
pursa denay aap ko har ik shaheed ka

aaqa hussain maola hussain aa raha hun main bhi karbala
aaqa hussain maola hussain aa raha hun main bhi karbala
Hamara Hussain Tumhara Hussain Noha Lyrics
rozay mainy rakhy aur khums bhi ada kiya
waqt par parhi namaz, ki nahi kabhi qazaa
matmi main ap ka hun, meri zindagi azaa
dil ki yeh tarhap hai aik bar, aaqa main hun ik gunahgaar
hur ki tarah hath jorh kar hun main kharha

aaqa hussain maola hussain aa raha hun main bhi karbala
aaqa hussain maola hussain aa raha hun main bhi karbala

karbala hi zindagi meri hai, main hun maatmi
khoon e dil sy jo likhay hain lafz, wo hain roshni
ay qamar! ziarat e hussain ho gi laazmi
zulm k khilaaf har qadam, hai hussainiat mera qalam
door karbala sy main shaheed ho gya to kya

aaqa hussain maola hussain aa raha hun main bhi karbala
aaqa hussain maola hussain aa raha hun main bhi karbala

labaik ya hussain
labaik ya hussain
labaik ya hussain
labaik ya hussain




La Yawm Lyrics Tejani Brothers

// No comments:
Title: La Yawm
Category: Noha
Reciter: Tejani Brothers
Year: 2016
Album: Hussaini

"La Yawm" Lyrics Tejani Brothers

la yawm lyrics tejani brothers noha
Hussain, hussain, hussain
Assalamu alayka ya Aba Abdillah
Assalamu alayka ya Sayyedish-shuhadaa
La yawma kayawmak ya Hussain

Your broken and shattered heart
On that day was ripped apart
Your body wounded and scarred
Stranded from your home so far
Hussain, Your pain, Was not, In vain
Please call us to you soon, ya Hussain
So that we see your tomb, ya Hussain
La yawm ka yawmak ya Hussain

Wallah Zahra maninsa Hussaina Lyrics Ali Jee

Ishqu hayaati Hussain, nabadu fuaadi al-daami
dhikruka yabqaa Hussain, qatau ra'saka dhaami
An'aak, ahwaak, wiyaak, wiyaak
Hatta al-mamaati ma'ak ya Hussain
Kullu hayaati ma'ak ya Hussain
La yawm ka yawmak ya Hussain

Ragrag me mere basta
Hai ishq ka ye dariya
Wo jiska ik ik qatra
Parhta hai naam tumhara
Ye gham, Matam, Har dam, Payhum
Hai jaan se pyara ya Hussain
Hai khun, hai khun, hai khun mei behta
La yawm ka yawmak ya Hussain

Ya Zainab Lyrics Ali Safdar Noha

There is no day like your day
Until we die we will say
Let us live life in your way
From your path don't let us stray
Today, The skies, Echo, Your cries
In your love I'm insane
'til death I'll call your name
La yawm ka yawmak ya Hussain

Karbobala ka hai ban
Hussain hai khastatan
Khanjar tale hai gardan
Lahu mei duba hai ran
Quraan, ki jaan, Noke Sinaan
Hai aaj tak rota ya Hussain
Jahaan ye sara ya Hussain
La yawm ka yawmak ya Hussain

Raah e Shaam Lyrics Tejani Brothers

Qatalu al-haqqa shaheeda,
ayna yazeedi al-taaghi
Saara imaami nasheeda,
dhidda al-dhulmi al-baaghi
Qurbaan, quraan, Ahzaan ahzaan
Shamsuka baaqi abad ya Hussain
Nahjuka saami abad ya Hussain
La yawm ka yawmak ya Hussain

Some Facts about the Birth of Husayn Ibn Ali ASW

Laying is the prophets rose
Upon a bed of arrows
from your body the blood flows
your pain only Allah knows
Your blood, Was shed, Islam, Was spread
The saviour of this deen
Your love has set me free
La yawm ka yawmak ya Hussain

"Tejani" ka hai wada
Ta hashr tak ae maula
Karenge hum ye girya
Dete rahenge pursa
Har aan, Ye jaan, Tujpar, qurbaan
Hain hum tere nokar
Bus hai sada lab par

Abbas e Alamdar Lyrics Tejani Brothers

// No comments:
Title: Abbas (A.S)
Category: Noha
Reciter: Tejani Brothers
Year: 2013
Album: Our Blood Will Write

Abbas (a.s) Lyrics Tejani Brothers


abbas noha lyrics tejani bros
Haider ne namaazon mein jo Allah se manga
Kehte thy Khuda dey mujhey Abbas sa beta
Wo jisko kahey sara Arab Ghazi o Jarrar
Abbas-e-Alamdaar, Abbas-e-Alamdaar

Tum bazu e Shabbir ho Haider k pisar ho
Lashkar ke alamdar Sakina ka jigar ho
Jitey hain tumhen dekh ke bas sayed e abraar
Abbas-e-Alamdaar, Abbas-e-Alamdaar

Paani pe alam tere siwaa kisne lagaya
Mashkize me darya ko tumhi ne hai uthaya
Tum lashkar-e-Shabbir ke ho Haider-e-Karrar
Abbas-e-Alamdaar, Abbas-e-Alamdaar

Jab Imam Ayen Gy Lyrics Ustad Sibte Jafar Zaidi

Tum Fatima Zehra ki duwaon ka asar ho
Tum dhoop mein Zainab ke liye misl e shajar ho
Parchum ka pharayra hai tera aisa hawaadar
Abbas-e-Alamdaar, Abbas-e-Alamdaar
Ya Abbas

Zainab ne dam karke naade ali,
Apni rida bhayi par daal di,
Apni rida bhayi par daal di
Dey kar duaa ghar se rukhsat kiya
Abbas ibn-e-sher-e-khuda

Hum Ahl e Aza Karb o Bala Yaad Karen Gy Lyrics Ali Safdar

Abbas ibn-e-sher-e-khuda
Abbas ibn-e-sher-e-khuda

Ghazi ne saahil pe rakha qadam,
Khaa kar sakina ke sar ki qasam,
Bhar lunga is mashk me alqama
Abbas ibn-e-sher-e-khuda

Abbas ibn-e-sher-e-khuda
Abbas ibn-e-sher-e-khuda

Lekin achanak ye kya hogaya,
Ghazi ka parcham larazne lagaa,
Bedast hokar giraa bawafaa
Abbas ibn-e-sher-e-khuda

Mein Qadam Aagy Barhaun Lyrics Tejani Brothers

Abbas ibn-e-sher-e-khuda
Abbas ibn-e-sher-e-khuda

Ghazi jo zeen se zameen par gira
Rokar Sakina se usne kaha
Sharminda Bali tera hai chacha
Abbas ibn-e-sher-e-khuda

Abbas ibn-e-sher-e-khuda
Abbas ibn-e-sher-e-khuda

"Rehan" manzar wo kaise likhun
Mere qalam se tapak ta hai khun
Kehte the shabbir bhayi mera
Abbas Ibne Shere Khuda

Hamara Hussain Tumhara Hussain Noha Lyrics Tejani Brothers

Abbas ibn-e-sher-e-khuda
Abbas ibn-e-sher-e-khuda